Apar Aap Padhai Kar rahe Hai to Aapko Ye Topper Guru Tips In Hindi Bahot Kam Aayegi. Class Me Kai Student Padhate Hai Par sabhi Student Top 10 Me Nahi Aate Hai. Exam Me Top Nahi Kar sakate hai. Kyuki Topper Student Ka Padhai Ka Method Kuchh Alag Sa Hota Hai. Agar Aap Bhi Exam Me Top Karnaa Chahte hai to Aapke Liye ye Article Best Tips Leke Aaa hai. yahan Aapko TopperGuru.com Topper Guru Tips in hindi me Di Hai.
Tooper banane Ke Liye Aapke Paas Padhai Ki Kai Method Hona Chahiye. Iske Bna Aap Top nahi Kar pate Hai. Ham Aapko Topper Ka Padhai karne Ka Tarika - Tips De Rahe hai. Isake Bad Aapko Is Website Par Ye Article Padhne Ko Milenge.
Comming Soon .... this Blog
How to Be Intelligent Tips in Hindi
12th Me Kam Marks Aane Ke Baad Kya kare
hindi me study plan karne ke tips.
time table kaise banae in hindi.
secret of toppers. class me topper kaise bane
mind power kaise badaye
hoshiyar kaise bane
introduction kaise dete hai
Topper Guru Tips in hindi
Exam Top Karne Ke Tips
Yhan hum aapko kuch points bta rhe hai aur unhe detail me explain bhi kar rhe hai, jinhe follow karke ek average student bhi easily class ke toppers ki list me aa sakta hai. bas jrurat hai concentration and seekhne ki chahat ki.
Daily Class Attend Karna chaiye.
Dosto agar aap exam ke end time par tension nhi lena chahte or book ki puri syllabus se bachna chahte hai to uske liye jaroori hai ki aap daily school or college me classes attend kare. Aisa karna isliye jaroori hai kyuki teacher ka padhaya hua hume aasani se samajh aa jaata hai aur humare dimag me set ho jata hai, jise hum agar mahine baad bhi padhe to hame dhayan rahta hai or study karne me easy rahta hai. So ek time par bhut saara tension lene se acha hai ki aap regular sab classes attend karo and tension free rho. Topper Guru Tips in hindi - TopperGuru.COM
Study Time Table Banaye.
Bahut se aise students hote hai jo exam se ek ya do week pahle hi apni study start karte hai, aur kuch shortcuts ke dum par exams dene nikal padte hai. Par agar aap sach me apni life me kuch bada karna chahte hai to aapke liye ye tarika bahut hi bura tarika hai, ise padhayi nahi kehte, ye sirf paas hone ka ek tarika hai, jisse students exam me to paas ho jaata hai par kuch seekhta nhi aur fir baad me jab Competition exams dene padte hai tab unhe kuch samajh nhi aata aur fir puri zindgi afsos manate hai. Jab aapka year ya semester start hota hai usi time aapko apna ek Subject wise time table bana lena chahiye. Kyuki vo decision aapka result aur aapki life badal sakta hai. Ek din me jayada padhne se acha hai ki roj roj thoda thoda padh kar exam tak yaad rakh sake. Or iske liye time table ka hona bahut jaroori hai. Isske help se apko exam ke time me raat raat bhar jagna nhi padega, aapko sirf revision hi karni padegi aur aap aasani se ache marks se paas hoge. Topper Guru Tips in hindi - TopperGuru.COM
Exam aur Padhai Ke Time Tension Na Le
Bahut se students ko exam ke time tension hone lag jaati hai. Exam ke time vo itna jada padh jaate hai ki likhte time vo sab bhul jaate hai. Aisa tab hota hai doston jab aapme confidence ni hota. Jab aapko sab kuch aate huye bhi us time sab kuch bhul jata hai. Upar diye gaye dono Study tips is point se directly related hai. Agar hum daily classes nhi attend karte aur ek time table ke hisaab se nhi chalte to exam ke time hume tension, nervousness hone lag jaati hai. Iske liye jaroori hai ki jab bhi hum padhayi kare to uss time hamara mann healthy, active aur relax rahe. Aisa isliye, kyuki padhte time hamare mann ka lagna bahut jaroori hai. Or agar mann na lage tension hone lage to sabse behtar tarika hai kuch der MEDITATION kare. Topper Guru Tips in hindi - TopperGuru.COM
Friends Group Study Kare
Padhayi karne ka ye ek best tarika maana jaata hai. Aap group study kare friendz ke sath, Group study karne se aapko new idea aane lag jate hai jo aapko exam ke time help karte hai aache marks lane me. Group study ek behad acha option hai jisse mind me new ideas aate hai or saath ki saath thodi masti bhi ho jati hai friendz ke sath or mind bhi fresh ho jata hai, jo exam ke tension waale mahol me bhut acha hota hai. Group study se exam ka pressure bhi kam ho jaata hai aur koi aisi cheez jo aapko samajh nhi aati use aapke friend aapko aasani se samjha dete hai.
Note: Kyi baar aisa bhi hota hai ki Group Study ke naam par students saath study ka plan to karte hai but vo study se jyada idhar udhar ki baate karte hai aur bhut important time barbad karte hai, so aap dhyaan rakho ki aapke saath aisa kuch na ho. Ek baat yaad rahe.. Dost aapke hamesha saath rhenge par exam me jyada marks lene ka chance fir kabhi nhi milega so important cheez par focus karna samajhdari hogi.
Daily Morning Time Me Padhai Kare.
Bahut se students raat bhar jaag kar study karte hai par fir bhi unhe kuch yaad nhi rahta. Aisa isliye hota hai dosto qki raat khana kha ke hume neend defiantly aati hai or neend ki jagah jab hum study karne bethte hai to vo thoda impossible vala kaam ho jata hai. Iske liye hum aapko ye salah denge ki aapke padhayi ka time subah ka fix kare, raat ko jaldi so jaaye aur subah jaldi 3 ya 4 baje uth kar padhayi karo. Early morning ke time me aapni Grasping power jyada hoti hai aur ek baar padhu huyi cheez bhi aasani se yaad reh jaati hai. Agar aap regular subah 2-3 ghante bhi padhayi karte hai to aap exam me aasani se top kar sakte hai. Topper Guru Tips in hindi - TopperGuru.COM
Keep The Distractions Away
Ye ek aisa point hai jise samajhna aaj ke youth ke liye jitna jaruri hai utna shayad kuch aur nhi. Aksar dekhne ko milta hai ki students padh bhi rhe hote hai aur phone par friends ya boyfriend / girlfriend ke saath chatting kar rhe hote hai ya facebook use karte hai. But ye sab cheez aapko padhayi se distract karti hai aur concentration kharab karti hai isliye aap jab bhi study ke liye baitho us waqt apne phone ko silent karke kisi aisi jagah rakh do jha aapki najar na pade aur aap phone aasani se chek na kar sako. Success ke liye Distractions free Environment hona bhut jaruri hai so aap apne aap se promise karo ki exam time par phone ka use kam se kam karoge aur study ke time par to bilkul bhi nhi.
Topper Guru Tips in hindi - TopperGuru.COM
Nice
ReplyDeleteGreat post hai
ReplyDeletePls isse bhi padhen
Padhai Kaise kare